Sunday, March 15, 2015

پشتو سیکھیں

Learn Pashto.............. (1).... پشتو سیکھیں
AoA







Learn Pashtu......کلاس نمبر2








je tu dostu umeed hai k kuch na kuch seek liya hoga ooper walay jumlo say......

mazeed wazaahat ab roman urdu may kar raha hooo..q k mujay pata hai k shoro may grammer ki kuch mushkelaat aegi..

eski waja aik ye b hai k baaz awqaat aik lafz ki aik say zyaada meaning hoti hai our aik lafz har jaga fit nahee aata tu es ki

waja say dosra same word use hota jaha per initial level per seeknay walay ko mushkel paish aaati hai. q k alfaz ki dictionary

onkay paaas kum hoti hai ( so don't afraid yaar may hoo naa !!! ).




Daa====== ka matlab hai ye.....jab kisi cheez ki tarf point karna hota hai yaa samnay ho tu tab "ye"="daa" use hota hai.




jaisay e.g "ye maira kamra hai "====== daa zama kamra daa

ye=da maira=zama kamra(room)=kamra hai=da

"hai" our "ye" dono k liye lafz "daa"

haagha==== ka matlab hai woh.... e.g woh maira ball point hai ===== haagha zama ball point day

woh= hagagha maira= zama ballpoint hai=day

"daa" single k liye use hota hai

"day" jama k liye

"dee" jama k liye


ye tumhara hai ======= da staa day

ye aapki hai ======= da staaso day

kush amdeed ====== pakhair raghelay

khuda hafiz ====== pa makha de kha (good bye)

shukriya ========= maanana

aapka bohot shukriya ===== staaso daira maanana

kia haal hai ======== sanga haal day (OR) saw rang ye




bait jaao ====== kena

aap bait jaaye ==== Taaso kainay

stand up " uth jaao " ======= paasaa or odregaa

lets go " aao chale " ======= Raaza che(6) zoo

khaana khaao ============ doday okhraa

may teek hoo ============ zaa kha (OR) teek yum




tum kaisay ho ============ ta sanga ye

tum kaha thay? ============ ta charta way?

may yaha hoo ============ za delta yum

ye hamara office hai ======= da zamong office day

woh kon hai ============= haagha sok dee




Ali maira bhai hai ============== Ali zama ror day

mera naam salman hai ========== zama noom salman day




ye kon hai ? =================== da sook day ?

tumhara kia naam hai? ========== staa saw noom day ?

os nay kia kaha? ============== haaqha saw ooway ?

ali nay aisa Q kaha ? =========== ali daasay walay ooway ?

tum nay ali ko Q maara ?======== ta ali walay oowa-kho ?




paani nahee hai ==================== oobaa neeshtaa

may aisa kaam nahee kar sakta ======== za daasay kar na shum kawalay

tum mere achchay dost ho ======= ta zama khaa malgaray ye

saleem khan edhar ajaao ========= saleem khaana delta raasha

haaaaaaahaaaaaaa intentionally may nay aisay lekha ha q k aksreat pathan naam k akher may "aa" ka lafz add kartay hai" jab kisi ko pukarana ho" jaisay

amjad ko amjadaa

jamal ko jamalaa

naseem ko naseema

jameel ko jameela

Rasheed ko rasheedaa ...etc

(note: ye serf boltay ya kisi ko pukartay waqt es tarha bola jaata hai laken frankly speaking ye zaroori nahee!!!!)


i think these examples will be sufficient and find interesting........ hope u people got it.......see you(soon) inshallah....

bus day kana mara staray shooma.....taaso kho pa pakhtu na maray gay yaara......

zaalemano zama khapla pukhtu hum pa khatme do da.(JOKE)...haaaahaaa haa haa oks.....

No comments:

Post a Comment

Qurani_Arabi_Seekiay

Explore the human body